Pages

Friday, 17 February 2012

Suna Hai Zindgi Khuda Ki Amanat Hai "Farid",





Suna Hai Zindgi Khuda Ki Amanat Hai "Farid", 


Isi Liye Hum Amanat Main Khayanat Nahin Kate,, 


Kuch Log Jeet Kar Khush Ho Jate Hain Zarur, 


Humko To Har "Haar" Ke Bad Khushi Milti Hai ...

Gumbad-e-Aflaak Mere Baad Huwa



Be-Sada Gumbad-e-Aflaak Mere Baad Huwa,

Saaniha Yeh Bhi Alam'naak Mere Baad Hua,,

Khaak Hi Kar Diya Phir Khaak Nashino Ne Mujhe,
Khaak Ka Saara Safar Khaak Mere Baad Huwa,,

Saamne Mere Jise Baat Nahi Aati Thi,
Woh Bhi Sunta Hoon Ke Chalaak Mere Baad Huwa,,

Jab Mere Saath Tha Logon Se Dara Rehta Tha,
Log Kehte Hain Ke Be'Baak Mere Baad Huwa,,

Woh Mujhe Chhor Ke Khush Baash Nahi Reh Sakta,

"Farid"Aur Usko Bhi Yeh Idraak Mere Baad Huwa...

Suna Hai Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai



Suna H Aaj Kal Wo Pareshan Rehta Hai,
Usay Kehna Be-fiker Hum B Nahi Hain,,

Suna H Wo Gumsum Rehta Hai,
Usay Kehna Hosh Me Ham B Nahi Hain,,

Suna H Wo Ratoon Ko Jaga Karta Hai,
Usay Kehna Sotay Ham B Nahi Hain,,

Suna H Wo Chup Chup K Rota Hai,
Usay Kehna Hanstay Ham B Nahi Hain,,

Suna H Wo Mujhe Yaad Bohat Karte Hai,
Usay Kehna Bhoolay Ham B Nahi Hain,,

Suna H Us ne Wafa Ka Daawa Kiya Hai,
Usay Kehna Be-wafa Ham B Nah Hain ...

Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak



Sabz maddham roshani may surkh anchal ki dhanak,
Sard kamare may machalati garm sanson ki mahak,

Bazuon ke sakht halqe may koi nazuk badan,
Silwaten malabus par anchal bhi kuch dhalaka hua,

Garmi e rukhsar se dahaki hui thandi hawa,
Narm zulfon se mulayam ungaliyon ki cher char,

Surkh honthon par shararat ke kisi lamhen ka aks,
Reshami bahon may chori ki kabhi maddham hanak,

Sharmagin lahajon may dhire se kabhi chahat ki bat,
Do dilon ki dharakanon may gunjati thi ek sada,

Kanpate honthon pe thi ALLAH se sirf ek dua,
Kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara.

Adhore chand se faryad to kerta hoga



*Ghazaal* 

Adhore chand se faryad to kerta hoga,

Wo mujhe ziyada nahi per yad to kerta hoga,,

Bhole se he sahi kbhi meri yad to ati hogi,

Wo mere bare mei kuch irshad to krta hoga,,

Bohat masruf sahi din bhar Phir bhi ,

Tanhai mei kuch pal mere liye 'Barbad' to karta hoga...

KhareeD Sakte To Usey Apni



Khareed Sakte
To Usey Apni
Zindagi Bech
Kar Bhi Khareed
Letey



Par Kuch Log
Qeemat Se Nai
Kismat Se Mila
Karte Hain...