Pages

Wednesday 29 February 2012

Farid- Har Taraf Mursar....



Har Taraf Mursar Khamoshi Ka Saaya Hai, 
Jise Chahate Hai Hum Woh Ab

"Farid"- Rooz Ki Tarhan Aaj Bhi Tere


Rooz Ki Tarhan Aaj Bhi Tere
Subha Ki Gard Main Na Kho Jayein
Aa ! Tere Gham Main Jagti Aankhein
Kam Se Kam Aik Raat So Jayein...

"Farid"- bhookhe ko ishq ki tehzeeb.....


bhookhe ko ishq ki tehzeeb ka kya fikr hei,
usko to akash pe chand thali ki

"Farid"- Bhookh Ke Bazar Me Neelam.....


Bhookh Ke Bazar Me Neelam Imaan Ho Gaya,
Zarra Zarra Bik Gaya,Khokhla

Bhookh Se Ek Bachche


Bhookh Se Ek Bachche Ko Bilakhte Dekha,
Sir Neecha Kiye Logon Ko

Tundi-e- Baad-E-Mukhalif se na ghabra, ae Uqaab


Tundi-e- Baad-E-Mukhalif se na ghabra, ae Uqaab,
Yeh to chalti hai tujhe uncha udan

मुशाईरों मैं जाना मेरा .....

मुशाईरों मैं जाना मेरा शोक नहीं है, 
"फरीद"
मुझको मेरा दर्द वहां ले जाता है ...

Jo maine manga tujh se khuda woh


Jo maine manga tujh se khuda woh mujhko mil gaya hai,
Bas ab tammanna baqi hai tu jaldi se apne

Uske hotoon ki khushboo


Uske hotoon ki khushboo mujhko aaj bhee yaad hai,
Main marte dum bhee nahein bhool

Raat ko naya chand mubarak


Raat ko naya chand mubarak,
Chand ko chandni

"Farid" Wohi Maqam Hay Ek Manzil-e-Faraz


"Farid" Wohi Maqam Hay Ek Manzil-e-Faraz
Apnay Bhi Jis Maqam Per

"Farid"- Aankhon m jo tehreerain theen


Aankhon m jo tehreerain theen ,
honton pay wo bol

Bohat muddat se aisa hai


Bohat muddat se aisa hai
K tum khamosh rehtay ho


Koi gehra hai ghum

Hum bhi mohabbat karke


Hum bhi mohabbat karke gunehgar ho gaye
pehle phool the abk khak

Kabhi Wo Samney Aa Kar Mila Bhi Nahin


Kabhi Wo Samney Aa Kar Mila Bhi Nahin,
Main us se bat karon itna Hosla

Dard Ki Raah Hai Koi Mere Ghum Kha Bhi Nahin



Dard Ki Raah Hai Koi Mere Ghum Kha Bhi Nahin,
Har Taraf Hai Andhera Koi

Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho


Na Who Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho,
Mujhe Talash Hai Uski Jo

Dosti se aaj pyaar sharmaya hai Teri


Dosti se aaj pyaar sharmaya hai Teri 
dosti ne humein jina

EK PARINDE KO MACHLI SE PYAR HO GAYA


EK PARINDE KO MACHLI SE PYAR HO GAYA,
WO DONO MILE TO KAISE,MACHLI PANI KO
CHOD NAHI SAKTI OR PRINDA

New Farid 3 Doulat Se Agar Dua Milti To Koee Ghareeb


Doulat Se Agar Dua Milti To Koee Ghareeb Hi Na Hota, 
"Farid" Dua Hi Ab Tak Anmol

New 2 Farid Yaqin Agar Khud Par Nahin To Pak Kalam


Yaqin Agar Khud Par Nahin To Pak Kalam Par Hota "Farid", 
Allah Ka Kalam Hai Momin Ki Bad Dua

New Farid Koee Badle Na Badle Woh Badal


Koee Badle Na Badle Woh Badal Gayi Hai Abhi, 
Ilzaam Oron Pe Lagana Fizool Hai ...

Sarkne Wali Badi Khatarnak

Main Bikhra Hoon Toot Ke Na Jane Kab Se


Main Bikhra Hoon Toot Ke Na Jane Kab Se, 
Koee Aata Hi Nahin Mujhko Sametne Ke Liye ...

‎"Farid" Ghar Ko Dekhna To Theek Hai ? 
Magar Unko Dekhna

Uska ahsan main kaise utaroon fareed


Uska ahsan main kaise utaroon fareed,
jiski be-wafai ne mujhko rona sikha diya...




Jisne dard diya hai

Ek lamhey ka bicharna bhi giran tha usko


Ek lamhey ka bicharna bhi giran tha usko
Rotey huye mujhko khud se juda karti thi
Mere dil me raha karti

Sath roti thi mere sath hasa


Sath roti thi mere sath hasa karti thi
Wo larki jo mere dil me basa karti thi
Meri chahat ki talabgar thi es darja ki
Wo musally pe namazon me dua karti thi

Kal raat mainne apne sare dukh de


Kal raat mainne apne sare dukh deewaron se keh dale,
Ab main sota hun to deewarein roti rehti hain fareed ?

Chehre pe na dhundo Pyar ko


Chehre pe na dhundo Pyar ko,
Koi dil me chhupa ke rakhta hnga,,
Raah pe munh na modo kisi se fareed,
Koi dur se hi pyar nibhata hoga...

Apne hi hote hain Jo dil pe waar karte


Apne hi hote hain Jo dil pe waar karte hain fareed,
Warna gairon ko kya khabr dil ki jagah kaun si hai?

Likhte likhte he raat guzar jayegi


Likhte likhte he raat guzar jayegi ,
Alfazon ke zariye dil ki

main bad dua to nahi de raha hun usko magar


main bad dua to nahi de raha hun usko magar,
Dua yehi hai use ab koi mujhsa

yeh ishq bhi kya hai ise apnaye


yeh ishq bhi kya hai ise apnaye koi aur,
chahon mein kisi aur ko

Pehle tera janaza taiyaar to main kar loon


Pehle tera janaza taiyaar to main kar loon,
Bhejungi tereko phir gadho

Mil-2 Ke Bicharna Mujhe Acha


Mil-2 Ke Bicharna Mujhe Acha Nahi Lagta
Per Tum Ko Bhi Pane Ka Rasta Nahi Milta
Tere Khalos-E- Mohabbat

Allah Insaan Sey Fermata Hey


Allah Insaan Sey Fermata Hey

Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na

Kabhi aao or dekho hamari raat


Kabhi aao or dekho hamari raat ka aalam fareed,
Din ko hasta chahra raat ko

Teri khushbu ka pataa karti hai


Teri khushbu ka pataa karti hai,
Mujh pay ehsaan

Dariya wafaon ka kbhi rukta nahin


Dariya wafaon ka kbhi rukta nahin,
Mohabbat main insaan

Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki


Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Main,
Woh Khoi Hui Si Ek Peh

Kabhi kabhi humne khud ko


Kabhi kabhi humne khud ko kuch is tarah behlaya hai,
jo baat khud smjhe nahin use dusron ko smjhaya hai...

Yahan har shaks harpl hadsa


Yahan har shaks harpal hadsa hone se darta hai.
khilona hai jo mitti ka fana

Umar bhar chaha ki ye aasma hmara hota


Umar bhar chaha ki ye aasma hmara hota.
kash khwahisho ka bhi koi kinara hota,
bs y soch kar n roka

Mujhe zindagi mein qadam qadam


Mujhe zindagi mein qadam qadam pe tere raza ki talash hai’
Tere ishq mein ay mere Khuda !

PHIR SE NIKLENGE TALASH-E-ZINDGI MAIN,


PHIR SE NIKLENGE TALASH-E-ZINDGI MAIN,
DUA KARNA IS BAAR KOI

waise to hame barish main nahane ka shok nahi,
ye to bahana hai ashqoo ko chupane ka,
yu to roo lete hum akele main aur sab ke samne,
par hasna to bahana hai us jalim ko jalane ka.

farz karo ham ahl-e-wafaa ho


farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo ye donoN baateN jh

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai


Main tera kuch b nahi hUn magar itna tO bataa.!,
Mujhe dekh k tere zehan main aata kiya hai.!,


Nasseeb ka likha t

.AeY Maah-E-RamZaaN


.AeY Maah-E-RamZaaN AahiSta ChalNa..
..HumE KhaSa QARZ ChuKanA Hai..
..KuCh KhWaab HeiN J

Idhar Zindagi Ka Janaza


Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi
Qayamat Say Pehlay

Paas Aa Zara Dil Ki Bat Btaau Tujhko


Paas Aa Zara Dil Ki Bat Btaau Tujhko!
Kese Dharakta He Dil Awaaz Sunaau Tujhko!
Aa Ke To Dekh Le Dil Pe

Koi bhoola hua sa dar kisi


Koi bhoola hua sa dar kisi toote maqaa ka hoon...
Bahare hain khafa jis se main gul us aashiyaa ka hoon...

Na mujh main roshni se hai

o baat husn e yaar


o baat husn e yaar teri AARZOO main hai...
Kia lutf kia karar kisi RANG O BOO main hai...

Woh khubsurti jo teri

Jo mere dil main hai ek


Jo mere dil main hai ek arzoo, shayad woh tum hi ho...
Main jis ki kar raha hun justujoo, shayad woh tum hi ho...

dabe pao jo khaabo

Aaya ek shaks zindagi main khushb


Aaya ek shaks zindagi main khushboo ki tarah
dil main bass sa gaya merey woh lahoo ki tarah

band darwaazoun pey

Dard Kia Hota Hai Batain


Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main

koi apna na mila humko



koi apna na mila humko jaan luta dete,
har ek ne diya dhoka kis-2 ko bhula dete,
apne dil ke dard ko del mi dabaye rakha hai
kar dete bayan to

Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil


Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil, Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,

Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko

Mohobbt kisi se tb karna jb


Mohobbt kisi se tb karna jb mohobbt nibhana sekh lo A dost
majburiyo ka sahara lekar chod d

*.*NAMAZ*.*


*.*NAMAZ*.*

iss taraah parho jesey ALLAH ka deedaar kar rahey ho…

*.*DUA*.*

Tamana h ki kabhi wo b iqraar kare


Tamana h ki kabhi wo b iqraar kare,
kabhi naraaz ho kabhi pyar kare,,
dhoondti rhe don

Apke sath se humen sahara mila


Apke sath se humen sahara mila,
Jo mil na saka tha woh kinara mila,
Kin lafzon m bayan kare shukriya khuda ka,
Jane kitno ki bheed me koi itna pyara mila...


Jinhe chaho dil se unhe dil k pas rakhna,
har pal har mod pr unhe yad rkhna,
Najuk hote hai ye dilo k ristey,
kahi tut na jaye inpe hamesa visvas rkhna...


tumhen malum hai humne ye kis ko pukara hai
ye sab jaante hain ke dil ka kis taraf ishara hai

na koi aahat hai na koi intizaar ka hi sahara hai
faqat apne dil per nazar hai ghum per guzara hai

khudi se farar ho haasil tou duniya se kinara hai
khudaya her dam zindgi israr her dam ashkara hai

mohabbat her dil se ho jaaye tou ye jazba pyaara hai
ye vo darya hai jisme saahil per dubna bhi gawara hai

chaand ghum na kar kya hua gar na koi tumhara hai
her qadam per jo jalta diya hai yaaro vo dil humara hai .

Saturday 18 February 2012

Muhabbat Ki Batain Mehbuba Se ? Aur Muhabbat Petrol Se !


Raaz Jab Tak Raaz Hai Wo Raaz Kehlayega "Farid", 
Jo Bahar Aajaye Wo Raaz Nahin Alfaz Hote Hain ...

बच्चों का यौन शोषण करे, तो कर दो बधिया: जज
Woh Pehchan Jaye Yeh Koee Muhabbat Ki Dalil Nahin Hai 
"Farid", 
Pehchan To Log Qatal Ke Liye Bhi Kiya Karte Hain ...

Ziyada Muhabbat Hi Imtehan Leti Hai 
"Farid", 
Kabhi Tod Ke Tou Kabhi Jodh Ke ...


Mitti Main Hi Mil Jana Hai Sabko Aik Din "Farid", 
Yeh Alag Baat Hai Main Pehle Jaoun Wo Baad Main ...


Muhabbat Ki Batain Mehbuba Se ? Aur Muhabbat Petrol Se !


Aaj Bhi Meri Wafa Unche Makam Par Rehti Hai "Farid", 
Yeh Alag Baat Hia Makan Uska Uncha Aur Naam Wafa Hai ...

Ye mohabat falsafy sey mawra hai


Ye mohabat falsafy sey mawra hai..

Is mein kaisa falsafa Is mein

kaisi nafsiyat Is mein kaisiaqal-o-danish 

Is mein kaisi zaat paat..

Din ki surat hai ye roshan Hai 

ye lambi chaand raat Is mein daawa kuch nahe hai

Is mein laakhon mumkinat 

Haan magar ik wahm

sa hai Kon samjhay ga ye baat ?

Ye mohabat.., Ye mohabat bhi kisi ko raas hai ?

Ye khameer-e-khaak sey nikla huwa Ehsaas hai

Kyun samjhty ho issey Mehsos kyun karty nahe

Ye tumhari Aankh mein hai Aur dil ke paas hai..

Posted by GHULAM ALI 

Ye mohabat falsafy sey mawra hai




Ye mohabat falsafy sey mawra hai..

Is mein kaisa falsafa Is mein
kaisi nafsiyat Is mein kaisiaqal-o-danish Is mein kaisi zaat paat..


Din ki surat hai ye roshan Hai ye lambi chaand raat Is mein daawa kuch nahe hai

Is mein laakhon mumkinat

Haan magar ik wahm
sa hai Kon samjhay ga ye baat?

Ye mohabat.., Ye mohabat bhi kisi ko raas hai?

Ye khameer-e-khaak sey nikla huwa Ehsaas hai


Kyun samjhty ho issey Mehsos kyun karty nahe


Ye tumhari Aankh mein hai Aur dil ke paas hai..

Friday 17 February 2012

Humto Aapse Pehle Hi Juda Ho Chuke Hain,



Humto Aapse Pehle Hi Juda Ho Chuke Hain, 
Yaad Kuch Bhi Nahin Sab Kho Chuke Hain,, 
Teri Yaad Kabhi-2 Aati Hai Khuwab Bankar, 
Hum Tab "Farid" Jagte Main Hi So Jate Hain ... 

Isi Liye Hum Koee Gham Nahin Karte, 
Tamasha Bhi Shayad Isi Liye Nahin Bante,, 
Apna Jisko Keh Diya To Keh Diya "Farid", 
Ulfat Miley Ya Anson Hum Par Wah Nahin Karte ..

Patthar Toot Kar Bikhar Jate Hain "Farid", 
Inke Aanson Rokese Nahin Rukte ...

Be-wafai Ka Ilzaam Laga Kar Wafa Daar Nahin Ho Sakte, 
Kuch Pane Ke Liye Bahut Kuch Khona Padhta Hai "Farid" ...




Bemari-E-Ishq Ko Dekhna Hai To Daryaon Ko Dekho, 
"Farid" Yeh Wo Aanson Hain Jo Roke Nahin Rukte ...
New




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : S.M.Farid Bharti

pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi


'I LOVE YOU'pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Javed Akhtar

Tabiyat in dinon begana-e-gam hoti jati hai
mere hisse ke goya har khushi kam hotii jati hai
wohi hai shahid-o-saqi, magar dil bujhata jata hai
wohi hai shamma lekin roshani kam hoti jati hai
qayamat kya ye ae husn-e-do aalam hoti jati hai
ke mahafil to wahi hai, dilkashi kam hoti jati hai
wohi maikhana-o-sahaba, wohi sagar wahi shisha
magar aavaz-e-noshanosh maddham hoti jati hai
wohi hai zindagi lekin ‘jigar’ ye hal hai apna
ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jati hai
Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Jigar Moradabadi

Phir mujhe dida-e-tar yaad aaya


Phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyad aaya
dam liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera vaqt-e-safar yaad aaya
sadagi haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yaad aaya
uzr-e-vamandagi ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yaad aaya
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yaad aaya
kya hi rizavan se ladai hogi
ghar tera khuld mein gar yaad aaya
aah wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang aake jigar yaad aaya
phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya
koi virani-si-virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
main ne majanun pe ladakapan mein ‘asad’
sang uthaya tha ke sar yaad aaya

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib

Phir is duniya se ummid-e-vafa hai


Phir is duniya se ummid-e-vafa hai
tujhe ae zindagi kya ho gaya hai
Coldest night of the season in Shimla
badi zalim nihayat bevafa hai
ye duniya phir bhi kitni khush-numa hai
har ik apne hi gham mein mubtila hai
kisi ke dard se kon aashna hai
mere naqqad meri shayari to
mere tute huye dil ke sada hai
kahan hun “shad” main to shad sa hun
wo shad-e-khush-nava to mar chuka hai

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Naresh Kumar Shad

Tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se hum


Tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se hum
thukra na den jahan ko kaheen bedili se hum
My Name Is Khan
mayusi-e-ma’al-e-mohabbat na puchiye
apanon se pesh aaye hain beganagi se hum
lo aj hum ne tod diya rishta-e-ummid
lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum
ubharenge ek bar abhi dil ke val-vale
go dab gaye hain bar-e-gam-e-zindagi se hum
gar zindagi mein mil gaye phir ittafaq se
puchenge apna hal teri bebasi se hum
ALLAH re fareb-e-masahiyat ke aj tak
duniya ke zulm sahate rahe khamoshi se hum
hum gam-zada hain laye kahan se khushi ke geet
denge wahi jo payenge is zindagi se hum

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi

Pathar sulag rahe the koi naqsh-e-pa na tha


Pathar sulag rahe the koi naqsh-e-pa na tha
hum us taraf chale the jidhar rasta na tha
Aamir Khan in Kashmir Valley.
parchaiyon ke shahar ke tanhaiyan na puch
apna sharik-e-gam koi apne siva na tha
yun dekhati hai gumshuda lamhon ke mod se
is zindagi se jaise koi vasta na tha
cheharon pe jam gai thin khayalon ke ulajhanen
lafzon ke justaju mein koi bolata na tha
khurshid kya ubharate dil ke tahon se hum
is anjuman mein koi saharashana na tha

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mumtaz Rashid

Tarz jine ka sikhati hai mujhe



Tarz jine ka sikhati hai mujhe
tashnagi zeher pilati hai mujhe
raat bhar rahati hai kis baat ke dhun
na jagti hai na sulati hai mujhe
ruthata hun jo kabhi duniya se
zindagi aake manati hai mujhe
aaina dekhun to kyunkar dekhun
yaad ik shakhs ke aati hai mujhe
band karta hun jo aankhen kya kya
roshani si nazar aati hai mujhe
koi mil jaye to rasta kat jaye
apni parachai darati hai mujhe
ab to ye bhool gaya kis ke talab
des parades phirati hai mujhe

kaise ho khatm kahani gham ke
ab to kuch neend si aati hai mujhe

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Khalil ur Rahman Azmi

Tere bagair ye ab zindagi kahan guzri


Tere bagair ye ab zindagi kahan guzri
qadam qadam pe tere sath ka guman guzri
ye din jo dhire se phisala to sham ke manzar
tere bagair udasi ke daramiyan guzri
wo ashk hun ki sar-e-rah gir gaya tha kabhi
utha saka na koi kitne karavan guzri
main khushk hoke bikharata raha hun pairon mein
bahut zamana hua mujh pe kashtiyan guzri
tere badan ka aalao ho meri sanson mein
kabhi wo lamha bhi ik bar jan-e-jan guzri
ye baat ab bhi nahi hai kisi se kahane ke
tamam sajde tere dar se rayagan guzri

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Hafeez Aatish

Tera jalva nihayat dil nashin hai


Tera jalva nihayat dil nashin hai
muhabbat lekin is se bhi hasin hai
junun ke koi manzil hi nahi hai
yahan har gham gam-e-avvali hai
suna hai yun bhi aksar zikr un ka
ki jaise kuch ta’alluq hi nahi hai
masiha ban ke jo nikle the ghar se
lahu mentar unhin ke aastin hai
main rah-e-ishq ka tanaha musafir
kise aavaz dun koi nahi hai
‘shamim’ us ko kaheen dekha hai tum ne
suna hai wo rag-e-jan ke qarin hai

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri

Tera khayal dil se mitaya nahi abhi



Tera khayal dil se mitaya nahi abhi
bedard main ne tujh ko bhulaya nahi abhi
kal tune muskura ke jalaya tha khud jise
sine aa wo charag bujhaya nahi abhi
gardan ko aj bhi tere bahon ke yaad hai
chaukhat se teri sar ko uthaya nahi abhi
behosh hoke jald tujhe hosh aa gaya
main badanasib hosh mein aaya nahi abhi

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi

Tera mera jhagada kya jab ik aangan ke matti hai


Tera mera jhagada kya jab ik aangan ke matti hai
apne badan ko dekh le chukar mere badan ke matti hai
bhukhi pyasi bhatak rahi hai dil mein kaheen umeed liye
hum aur tum jis mein khate the us bartan ke matti hai
gairon ne kuch khwab dikhakar neend churali aankhon se
lori de de har gai jo ghar aangan ke matti hai
soch samajhakar tum ne jis ke sabhi gharonde tod diye
apne sath jo khel raha tha us bachpan ke matti hai
chal nafarat ko chod ke ‘anjum’ dil ke rishte jod ke ‘anjum’
is matti ka qarz utaren apne vatan ke matti hai

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Sardar Anjum

Tere aane ke jab khabar mahake



Tere aane ke jab khabar mahake
tere khushbu se sara ghar mahake
sham mahake tere tasavvur se
sham ke bad phir sahar mahake
raat bhar sochata raha tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake
yaad aaye to dil munavvar ho
did ho jaye to nazar mahake
wo ghadi do ghadi jahan baithe
wo zamin mahake wo shajar mahake

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Nawaz Deobandi

Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye


Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar mein hum ahal-e-muhabbat nikal aaye
ab dil ke tamanna hai to ae kash yahi ho
aansu ke jagah aankh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diya gul na karo tum ke na jane
kis bam se khurashid-e-qayamat nikal aaye
jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se
jan deke bhi samajho ke salamat nikal aaye
ae hamnafason kuch to kaho ahad-e-sitam ke
ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye
yaro mujhe masalub karo tum ke mere bad
shayad ke tumhara qad-o-qamat nikal aaye

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz

Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten



Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke
koi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke qurbaten
jo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil mein kya
na kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvaten
chalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal -e-shahar mein
ye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ke turbaten
meri jan aj ka gham na kar, ke na jane katib-e-vaqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarraten

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz

Sabz maddham roshani mein surkh aanchal ke dhanak



Sabz maddham roshani mein surkh aanchal ke dhanak
sard kamare mein machalati garm sanson ke mahak
bazuon ke sakht halqe mein koi nazuk badan
silvaten malabus par aanchal bhi kuch dhalaka hua
garmi-e-rukhsar se dahaki hui thandi hawa
narm zulfon se mulayam ungaliyon ke ched chad
surkh honton par shararat ke kisi lamhen ka aks
reshami bahon mein chudi ke kabhi maddham dhanak
sharmagin lahajon mein dhire se kabhi chahat ke baat
do dilon ke dhadakanon mein gunjati thi ek sada
kanpate honton pe thi ALLAH se sirf ek dua
kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :P arveen Shakir

Sach hain hamin ko aap ke shikave baja na the



Sach hain hamin ko aap ke shikave baja na the
beshak sitam janab ke sab dostana the
han jo jafa bhi aap ne ke qayede se ke
han hum hi karaband-e-usul-e-vafa na the
aaye to yun to ke jaise hamesha ke meharaban
bhule to yun ke goya kabhi aashana na the
kyon dad-e-gam hum ne talab ki, bura kiya
hum se jahan mein kushta-e-gam aur kya na the
gar fikr-e-zakhm ke to khatavar hain ke hum
kyon mahv-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the
har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamen jo dukh the bahut ladava na the
lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna “faiz”
hum talkhi-e-kalam par mail zara na the

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Faiz Ahmed Faiz

Na Tumse Shikwa Na Tumse Gila Hai "Farid"

Tera Shukria Kaise Karun Main Ada "Sana", 

Lagta Hai Alfaz Mera Sath Chod Jayenge ...



Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai ,


"Farid" Main charag wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai ...




Bechaini bad jayegi aur yaad kisi ke aayegi "Farid",


Tummeri gazalen gaoge jab ishq tumhen ho jayega ...




Mere jaise ban jaogi"SANA" jab ishq tumhen ho jayega,


Deewaron se sar takaraoge jab ishq tumhen ho jayega ...



Dost Har Doulat Se Badhkar Hai Agar Wo Dost Hai "Sana", 

Warna Log To Dosti Ko Yunhi Badnam Kiya Karte Hain ...


Khud Ba Khud Yaad Aati Hai Teri Dil Ke Na Chahte Hue, 

Alafaz Badal Jate Hain Mere Tujhko Samne Pate Hi ...


Duniyan Main Jab Har Cheez Fani Hai "Sana", 

"Farid" Yeh Duniya phir Bhi Kyun Itni Dewani Hai ...


Na Tumse Shikwa Na Tumse Gila Hai "Farid" , 

Shikwe Gile Ghairon Se Kiye Jate Hain ...




Riwayatain Toot Bhi Jati Hain Dilon Ke Haal Jaan Kar, 


Unko Behlao "Farid" Jo Dil Ke Zuban Na Samajhte Hon...




Deewan Jiska Tha Usko Bata Do "Gulashan" Ki Wo Toot Gaya, 


"Farid" Ab Tak "Gulshan" Hai Kashmeer Iman Walon Se ...


Poet of the poem/ghazal or Nazam: S.M.Farid Bharti

charag apne thakan ke koi safai na de


charag apne thakan ke koi safai na de
wo tiragi hai ke ab khwab tak dhikhai na de

bahut satate hain rishte jo tut jate hain
khuda kisi ko bhi taufiq-e-ashanai na de

main sari umr andheron mein kat sakata hun
mere diyon ko magar raushani parai na de

agar yahi teri duniya ka hal hai malik
to meri qaid bhali hai mujhe rihai na de

dua ye mangi hai sahame hue mu’arrik ne
ke ab qalam ho khuda surkh raushnai na de

Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meraj Faizabadi