Pages

Saturday, 18 February 2012

Muhabbat Ki Batain Mehbuba Se ? Aur Muhabbat Petrol Se !


Raaz Jab Tak Raaz Hai Wo Raaz Kehlayega "Farid", 
Jo Bahar Aajaye Wo Raaz Nahin Alfaz Hote Hain ...

बच्चों का यौन शोषण करे, तो कर दो बधिया: जज
Woh Pehchan Jaye Yeh Koee Muhabbat Ki Dalil Nahin Hai 
"Farid", 
Pehchan To Log Qatal Ke Liye Bhi Kiya Karte Hain ...

Ziyada Muhabbat Hi Imtehan Leti Hai 
"Farid", 
Kabhi Tod Ke Tou Kabhi Jodh Ke ...


Mitti Main Hi Mil Jana Hai Sabko Aik Din "Farid", 
Yeh Alag Baat Hai Main Pehle Jaoun Wo Baad Main ...


Muhabbat Ki Batain Mehbuba Se ? Aur Muhabbat Petrol Se !


Aaj Bhi Meri Wafa Unche Makam Par Rehti Hai "Farid", 
Yeh Alag Baat Hia Makan Uska Uncha Aur Naam Wafa Hai ...

Ye mohabat falsafy sey mawra hai


Ye mohabat falsafy sey mawra hai..

Is mein kaisa falsafa Is mein

kaisi nafsiyat Is mein kaisiaqal-o-danish 

Is mein kaisi zaat paat..

Din ki surat hai ye roshan Hai 

ye lambi chaand raat Is mein daawa kuch nahe hai

Is mein laakhon mumkinat 

Haan magar ik wahm

sa hai Kon samjhay ga ye baat ?

Ye mohabat.., Ye mohabat bhi kisi ko raas hai ?

Ye khameer-e-khaak sey nikla huwa Ehsaas hai

Kyun samjhty ho issey Mehsos kyun karty nahe

Ye tumhari Aankh mein hai Aur dil ke paas hai..

Posted by GHULAM ALI 

Ye mohabat falsafy sey mawra hai




Ye mohabat falsafy sey mawra hai..

Is mein kaisa falsafa Is mein
kaisi nafsiyat Is mein kaisiaqal-o-danish Is mein kaisi zaat paat..


Din ki surat hai ye roshan Hai ye lambi chaand raat Is mein daawa kuch nahe hai

Is mein laakhon mumkinat

Haan magar ik wahm
sa hai Kon samjhay ga ye baat?

Ye mohabat.., Ye mohabat bhi kisi ko raas hai?

Ye khameer-e-khaak sey nikla huwa Ehsaas hai


Kyun samjhty ho issey Mehsos kyun karty nahe


Ye tumhari Aankh mein hai Aur dil ke paas hai..

Friday, 17 February 2012

Humto Aapse Pehle Hi Juda Ho Chuke Hain,



Humto Aapse Pehle Hi Juda Ho Chuke Hain, 
Yaad Kuch Bhi Nahin Sab Kho Chuke Hain,, 
Teri Yaad Kabhi-2 Aati Hai Khuwab Bankar, 
Hum Tab "Farid" Jagte Main Hi So Jate Hain ... 

Isi Liye Hum Koee Gham Nahin Karte, 
Tamasha Bhi Shayad Isi Liye Nahin Bante,, 
Apna Jisko Keh Diya To Keh Diya "Farid", 
Ulfat Miley Ya Anson Hum Par Wah Nahin Karte ..

Patthar Toot Kar Bikhar Jate Hain "Farid", 
Inke Aanson Rokese Nahin Rukte ...

Be-wafai Ka Ilzaam Laga Kar Wafa Daar Nahin Ho Sakte, 
Kuch Pane Ke Liye Bahut Kuch Khona Padhta Hai "Farid" ...




Bemari-E-Ishq Ko Dekhna Hai To Daryaon Ko Dekho, 
"Farid" Yeh Wo Aanson Hain Jo Roke Nahin Rukte ...
New




Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : S.M.Farid Bharti

pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi


'I LOVE YOU'pyar mujhase jo kiya tumane to kya paogi
mere halat ke aandhi mein bikhar jaogi
ranj aur dard ke basti ka main bashinda hun
ye to bas main hun ke is hal mein bhi zinda hun
khwab q dekhun wo kal jisape main sharminda hun
main jo sharminda hua tum bhi to sharamaogi
q mere sath koi aur pareshan rahe
meri duniya hai jo viran to viran rahe
zindagi ka ye safar tumako to aasan rahe
hamasafar mujhko banaogi to pachataogi
ek main kya abhi aayenge divane kitne
abhi gunjege muhabbat ke tarane kitne
zindagi tumako sunayegi fasane kitne
q samajhati ho mujhe bhool nahi paogi
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Javed Akhtar

Tabiyat in dinon begana-e-gam hoti jati hai
mere hisse ke goya har khushi kam hotii jati hai
wohi hai shahid-o-saqi, magar dil bujhata jata hai
wohi hai shamma lekin roshani kam hoti jati hai
qayamat kya ye ae husn-e-do aalam hoti jati hai
ke mahafil to wahi hai, dilkashi kam hoti jati hai
wohi maikhana-o-sahaba, wohi sagar wahi shisha
magar aavaz-e-noshanosh maddham hoti jati hai
wohi hai zindagi lekin ‘jigar’ ye hal hai apna
ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jati hai
Poet of the Poem /  Ghazal or Nazam: Jigar Moradabadi