Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai,
Main charag wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai,,
Meri dastan ka uruj tha teri narm palkon ke chanv mein,
Mere sath tha tujhe jagana teri aankh kaise jhapak gai,,
Kabhi hum mile to bhi kya mile wohi duriyan wohi fasale,
Na kabhi hamare qadam badhe na kabhi tumhari jhijhak gai,,
Tujhe bhool jane ke koshishen kabhi qamayab na ho sakin,
Teri yaad shakh-e-gulab hai jo hawa chali to lachak gai ...
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Bashir Badr