Pages

Friday 17 February 2012

mere jaise ban jaoge jab ishq tumhen ho jayega




Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhen ho jayega,

Deewaron se sar takaraoge jab ishq tumhen ho jayega,,

Har baat gavara kar loge mannat bhi utara kar loge,
Tabizen bhi bandhavaoge jab ishq tumnhen ho jayega,,

Tanhai ke jhule khulenge har baat purani bhulenge,
Aaine se tum ghabaraoge jab ishq tumhen ho jayega,,

Jab suraj bhi kho jayega aur chand kaheen so jayega,
Tum bhi ghar der se aaoge jab ishq tumhen ho jayega,,

Bechaini bad jayegi aur yaad kisi ke aayegi "Saeed",
Tummeri gazalen gaoge jab ishq tumhen ho jayega...


Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Saeed Rahi

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...