Tera jalva nihayat dil nashin hai
muhabbat lekin is se bhi hasin hai
yahan har gham gam-e-avvali hai
suna hai yun bhi aksar zikr un ka
ki jaise kuch ta’alluq hi nahi hai
masiha ban ke jo nikle the ghar se
lahu mentar unhin ke aastin hai
main rah-e-ishq ka tanaha musafir
kise aavaz dun koi nahi hai
‘shamim’ us ko kaheen dekha hai tum ne
suna hai wo rag-e-jan ke qarin hai
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Shamim Jaipuri