Pages

Friday, 17 February 2012

Tera mera jhagada kya jab ik aangan ke matti hai


Tera mera jhagada kya jab ik aangan ke matti hai
apne badan ko dekh le chukar mere badan ke matti hai
bhukhi pyasi bhatak rahi hai dil mein kaheen umeed liye
hum aur tum jis mein khate the us bartan ke matti hai
gairon ne kuch khwab dikhakar neend churali aankhon se
lori de de har gai jo ghar aangan ke matti hai
soch samajhakar tum ne jis ke sabhi gharonde tod diye
apne sath jo khel raha tha us bachpan ke matti hai
chal nafarat ko chod ke ‘anjum’ dil ke rishte jod ke ‘anjum’
is matti ka qarz utaren apne vatan ke matti hai

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :  Sardar Anjum

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...