Sab log liye sang-e-malamat nikal aaye
kis shahar mein hum ahal-e-muhabbat nikal aaye
aansu ke jagah aankh se hasrat nikal aaye
har ghar ka diya gul na karo tum ke na jane
kis bam se khurashid-e-qayamat nikal aaye
jo darpa-e-pindar hain un qatlgahon se
jan deke bhi samajho ke salamat nikal aaye
ae hamnafason kuch to kaho ahad-e-sitam ke
ik harf se mumkin hai hikayat nikal aaye
yaro mujhe masalub karo tum ke mere bad
shayad ke tumhara qad-o-qamat nikal aaye
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Ahmed Faraz
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...