Pages

Thursday 6 December 2012

Dil ki baat samjhne ko dil hi ka dimagh chahiye,


Dil ki baat samjhne ko dil hi ka dimagh chahiye,
Warna tou har baat sar se guzar jaya karti hai... new

Uske pass dil to hai dard nahin hai "Farid",
Mere pass tou dil-o-dard dono rehte hain... new


Yara Mujhko Sunne Aur Chahne Walon Ki Kami Nahin Hai , 
Yeh To Main "Farid" Hoon Jo Apno Ko Waqt Hi Nahin De Pata ... New

Muhabbat Naam Hi Isika Hai "Farid", 
Milne Se Muhabbat Kam Ho Jati Hai... New

Najumiyat Ki Islaam Main Koi ahmyat Nahin Hai "Farid", 
Mout Barhaq Hai Aayegi Zarur Bahana Koi Bhi Ho Sakta Hai... New at a time

Tumko Woh Hai Pasand Yeh Baat Alag Hai "Basheer", 
Kya Tum Bhi Ho Usko Pasand Yeh Baat Bhi Alag Hai "Farid"... New

Bachpan Main Hi Agar Fikr Ki Hoti "Farid", 
Tab Aaj afsos Ke Lye Alfaaz Hi Na Hote... New just

Jab Bhoolna Hai Tou "Farid", 
Palatne Tou Koi Sawaal Hi Nahin... New just

Chand Ke Chahne Wale Tou Hazaron Hain "Farid", 
Lekin Chand Sirf Mera Hai Yeh Bata Chuka Hai Mujhko... New just

Jo Khud Hi Khate Hain Woh Humko Bhala Kya Dainge, 
Pehle Unhi Se Bach Jaye Hum Jaison Ka Haq Khane Se... New

Khoram Main Tou Macha Dunga Akela Hi "Farid", 
Yahan Aaj Murda Dil Rehte Hain Kafan Ki Talaash Main... New just

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...