Pages

Thursday, 6 December 2012

Woh bhi meri aankhon se bahe darya ko pani hi keh gaya,


Woh bhi meri aankhon se bahe darya ko pani hi keh gaya,
Uska koi kasoor nahin "farid" woh chahat bhi meri hi thi... new at this time 

Woh Aaj Hanskar Punchta Hai Mujhse Meri Bemari Ka Haal, 
Kehta Hai "Farid" Tumne Hi Kaha Tah Har Haal Main Kush Raho... New at
this time

Jalkar Hi Kuch Khaas bhi Banta Hai "Farid", 
Log Aankhon Main Lagate Hain Surme Ki Tarhan... New

Kuchon Ko Jalaya Hi Jata Hai Is Liye "Farid", 
Woh Jalne Ke Baad Hi Ankhon Main Basa Karte Hain... New at this time 

Beech Ki Har Cheezin Ziyadatar Achchi Hi Lagti Hain "Farid", 
Bech Main Hai Naak To Chehra Bhi Haseen Lagta Hai... New at this time 

Pani Hi Insaan Ki Sabse Pehli Zarurat Hai "Farid", 
Phir Kuch Log Isko Fizool Kharch Kiya Karte Hain... New at this time 

Zindgi Ka Hi Maza Le Rahe Ho Zindgi Ko Bura Kehkar "Farid", 
Yeh Kya Kam Hai Ke Itna Haseen Likhne Ko Zindgi Tumahare Sath Hai.... New at this time 

Muhabbat dil Se Hoti Hai Dikhawe Ki Nahin, 
Zulm Se Ladna Zulm Ke Sehne Ke Baad Hi Aata Hai... New

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...