Pages

Thursday, 6 December 2012

Meri Zindgi Bhi Tou Allah Ki Dain Hai "Farid",


Meri Zindgi Bhi Tou Allah Ki Dain Hai "Farid", 
Mout Bhi Meri Allah Ke Naam Hogi Insha Allah... New

Allah Kare Mera Naseeb Aaj Bhi Aisa Hi Rahe "Farid", 
Main Bahut Khush Hoon Apne Naseeb Se Iman Wala Hoon... New just


Mujhko Aaj Bhi Hai Apne Anjane Gunahon Ka Afsos, 
"Farid" Jo Mujhko Nahin Maloom Mere Allah Ko Hain... New just

Apne Ko Main Manta Hoon aik Khaksaar Adna Sa, 
"Farid" Woh Mera Mola Hi Nahin Sabhi Ka Moula Hai ... New just

Farzon Ki Mujhko Fikr Nahin Sunnat Ki Kya Hogi "Farid", 
Suna Hai Jo Sunnat Ko Nahin Bhoolte Allah Unko Nahin Bhoolta... New just

Mujhko Muhabbat Ka sabaq Aaj Bhi Yaad Hai "Farid", 
Meri Maa Ne Bachpan Main Kaha Tha Allah Allah Kiya Kar... New just

Rehmatain To Hamesha Hi Allah Ki Rehti Hain Humko Dikhti Hi Nahin, 
"Farid" Insaan Kitna Na Shukr Hai Apne Sansain Bhi Usko Dikhti Nahin... New just

Na Pehchan Woh Phir Bhi Deega "Farid", 
Uske Khazane Main Be Shumar Jo Hai ... New just

Guzar to Sab Hi Ki Jati Hai "Farid", 
Magar Kaise Guzri Yeh Baat Alag Hai... New Just

Thandi Hawaon Ka Sara Kasoor Nahin Hai "Farid", 
Yeh To Har Baras aati Hai Kisi Ko Tohfa Deene... New just

Yaad Tou Humko apne Dushmano Ki Bhi ayegi "Farid", 
Yeh Baat Juda Hai Abhi Koi Dushman Nahin Hai Mera ... New just

Kash Main Bant Pata Chad Ko Doston Main "Farid", 
Tab Main Har aik Ko Apne Jaisa Chand De Deta... New just 

Har alfaaz Apni Kahani Khud Kehta Hai "Farid", 
Alfazon Ko Samjhne Ke Liye akal Honi Chahiye... New just

Alfazon Se Jab Alfaaz Bolte Hain "Farid", 
Khud Ba Khud Muhabbat Maloom Ho Jati Hai... New just 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...