Sabz maddham roshani mein surkh aanchal ke dhanak
sard kamare mein machalati garm sanson ke mahak
bazuon ke sakht halqe mein koi nazuk badan
silvaten malabus par aanchal bhi kuch dhalaka hua
garmi-e-rukhsar se dahaki hui thandi hawa
narm zulfon se mulayam ungaliyon ke ched chad
surkh honton par shararat ke kisi lamhen ka aks
reshami bahon mein chudi ke kabhi maddham dhanak
sharmagin lahajon mein dhire se kabhi chahat ke baat
do dilon ke dhadakanon mein gunjati thi ek sada
kanpate honton pe thi ALLAH se sirf ek dua
kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara
Poet of the Poem / Ghazal or Nazam arveen Shakir
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...