gaye dinon ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo
ajeeb manus ajanabi tha mujhe to hairan kar gaya wo
khushi ki rut ho ki gham ka mausum nazar use dhundhati hai har dam
wo bu-e-gul tha ki nagma-e-jan mere to dil mein utar gaya wo
wo maikade ko jaganevala wo raat ki neend udanevala
na jane kya us ki jee mein aayi ki sham hote hi ghar gaya wo
kuch ab sambhalane lagi hai jan bhi badal chala rang aasman bhi
jo raat bhari thi tal gai hai jo din kada tha guzar gaya wo
shikastapa rah mein khada hun gaye dinon ko bula raha hun
jo qafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gaya wo
bas ek manzil hai bulhavas ki hazar raste hain ahal-e-dil ki
ye hi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main thahar gaya wo
wo jis ki shane pe hath rakh kar safar kiya tune mannzilon ka
teri gali se na jane q aj sar jhukaye guzar gaya wo
wo hijr ki raat ka sitara wo hamnafas hamsukhan hamara
sada rahe us ka naam pyara suna hai kal raat mar gaya wo
bas ek moti si chab dikhakar bas ek mithi si dhun suna kar
sitara-e-sham ban ki aaya barang-e-khayal-e-sahar gaya wo
na ab wo yadon ka chadhata dariya na fursaton ki udas barkha
yun hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahara tha bhar gaya wo
wo raat ka benava musafir wo tera shayar wo tera ‘nasir’
teri gali tak to hum ne dekha phir na jane kidhar gaya wo
Poet of the poem/ghazal or Nazam:Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...