Pages

Wednesday, 29 February 2012

Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil


Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil, Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,

Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko
Kabhi Sochna, Kabhi Bhoolna,
Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala, Jo Na Ho Sake Wo Kamal Kar,

Gham-E-Arzu Meri Justju, Mei Simat Ke Aa Gaya Ru-Baru,
Ye Sukoot-E-Marg Hai Kis Liye? Mei Jawab Doon Tu Sawal Kar,

Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le, Tere Hath Hai Meri Zindgi,
Tujhe Rokna Meri Mot Hai, Meri Be`Bsi Ka Khayal Kar,

Mre Dard Ka, Mre Zabt Ka, Meri Be-Basi, Mere Sabr Ka,
Jo Yakeen Na Aaye To Dekh Le, Tu Hawa Mein Phool Uchaal Kar

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...