Tera Shukria Kaise Karun Main Ada "Sana",
Lagta Hai Alfaz Mera Sath Chod Jayenge ...
Kaheen chand rahon mein kho gaya kaheen chandani bhi bhatak gai ,
"Farid" Main charag wo bhi bujha hua meri raat kaise chamak gai ...
Bechaini bad jayegi aur yaad kisi ke aayegi "Farid",
Tummeri gazalen gaoge jab ishq tumhen ho jayega ...
Mere jaise ban jaogi"SANA" jab ishq tumhen ho jayega,
Deewaron se sar takaraoge jab ishq tumhen ho jayega ...
Dost Har Doulat Se Badhkar Hai Agar Wo Dost Hai "Sana",
Warna Log To Dosti Ko Yunhi Badnam Kiya Karte Hain ...
Khud Ba Khud Yaad Aati Hai Teri Dil Ke Na Chahte Hue,
Alafaz Badal Jate Hain Mere Tujhko Samne Pate Hi ...
Duniyan Main Jab Har Cheez Fani Hai "Sana",
"Farid" Yeh Duniya phir Bhi Kyun Itni Dewani Hai ...
Na Tumse Shikwa Na Tumse Gila Hai "Farid" ,
Shikwe Gile Ghairon Se Kiye Jate Hain ...
Riwayatain Toot Bhi Jati Hain Dilon Ke Haal Jaan Kar,
Unko Behlao "Farid" Jo Dil Ke Zuban Na Samajhte Hon...
Deewan Jiska Tha Usko Bata Do "Gulashan" Ki Wo Toot Gaya,
"Farid" Ab Tak "Gulshan" Hai Kashmeer Iman Walon Se ...

Poet of the poem/ghazal or Nazam: S.M.Farid Bharti
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...