Pages

Friday, 17 February 2012

Phir mujhe dida-e-tar yaad aaya


Phir mujhe dida-e-tar yaad aaya
dil jigar tashna-e-fariyad aaya
dam liya tha na qayamat ne hanoz
phir tera vaqt-e-safar yaad aaya
sadagi haye tamanna yani
phir wo nairang-e-nazar yaad aaya
uzr-e-vamandagi ae hasrat-e-dil
nala karta tha jigar yaad aaya
zindagi yun bhi guzar hi jati
kyon tera rahguzar yaad aaya
kya hi rizavan se ladai hogi
ghar tera khuld mein gar yaad aaya
aah wo jurrat-e-fariyad kahan
dil se tang aake jigar yaad aaya
phir tere kuche ko jata hai khayal
dil-e-gumgashta magar yaad aaya
koi virani-si-virani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya
main ne majanun pe ladakapan mein ‘asad’
sang uthaya tha ke sar yaad aaya

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mirza Ghalib

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...