Pages

Friday, 17 February 2012

Pathar sulag rahe the koi naqsh-e-pa na tha


Pathar sulag rahe the koi naqsh-e-pa na tha
hum us taraf chale the jidhar rasta na tha
Aamir Khan in Kashmir Valley.
parchaiyon ke shahar ke tanhaiyan na puch
apna sharik-e-gam koi apne siva na tha
yun dekhati hai gumshuda lamhon ke mod se
is zindagi se jaise koi vasta na tha
cheharon pe jam gai thin khayalon ke ulajhanen
lafzon ke justaju mein koi bolata na tha
khurshid kya ubharate dil ke tahon se hum
is anjuman mein koi saharashana na tha

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Mumtaz Rashid

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...