Pages

Friday, 17 February 2012

Tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se hum


Tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagi se hum
thukra na den jahan ko kaheen bedili se hum
My Name Is Khan
mayusi-e-ma’al-e-mohabbat na puchiye
apanon se pesh aaye hain beganagi se hum
lo aj hum ne tod diya rishta-e-ummid
lo ab kabhi gila na karenge kisi se hum
ubharenge ek bar abhi dil ke val-vale
go dab gaye hain bar-e-gam-e-zindagi se hum
gar zindagi mein mil gaye phir ittafaq se
puchenge apna hal teri bebasi se hum
ALLAH re fareb-e-masahiyat ke aj tak
duniya ke zulm sahate rahe khamoshi se hum
hum gam-zada hain laye kahan se khushi ke geet
denge wahi jo payenge is zindagi se hum

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam : Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...