gham mujhe hasrat mujhe vahashat mujhe sauda mujhe
ek dil deke khuda ne de diya kya kya mujhe
hai husul-e-arazu ka raz tark-e-arazu
main ne duniya chod di to mil gai duniya mujhe
kah ki soya hun ye apne iztarab-e-shauq se
jab wo aayen qabr par fauran jaga dena mujhe
subah tak kya kya teri umeed ne tane diye
aa gaya tha sham-e-gam ek neend ka jhonka mujhe
ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kisaka adab
apne pay-e-namaz par karne do sajda mujhe
dekhte hi dekhte duniya se main uth jaunga
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Seemab Akbarabadi
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...