Pages

Friday, 17 February 2012

Tum se berangi-e-hasti ka gila karana tha,




Tum se berangi-e-hasti ka gila karana tha,

Dil pe anbar hai khungashta tamannaon ka,,

Aaj tute hue taron ka khayal aaya hai,
Aek mela hai pareshan si ummidon ka,,

Chand pazmurda baharon ka khayal aaya hai,
Panv thak thak ke reh jate hain mayusi mein,,

Purmahan rahguzaron ka khayal aaya hai,
Saqi-o-bada nahi jam-o-lab-e-ju bhi nahi,,

Tum se kahana tha ki ab aankh mein aansu bhi nahi..

Poet of the Poem / Ghazal or Nazam :Akhtar ul Iman

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...