Pages

Wednesday, 29 February 2012

Main Bikhra Hoon Toot Ke Na Jane Kab Se


Main Bikhra Hoon Toot Ke Na Jane Kab Se, 
Koee Aata Hi Nahin Mujhko Sametne Ke Liye ...

‎"Farid" Ghar Ko Dekhna To Theek Hai ? 
Magar Unko Dekhna
Jayaz Nahin ...

Gunah Karna Kafiron Ki Fitrat Hai Main "Farid", 
Gunah Agar Momin Kare To Sochne Ki Baat Hai,, 
Har Mehboob Dekhna Gunah Nahin Hai Be-shaq,
Lekin Mehboob Koun Hai Yeh Aehm Baat Hai ...

Dusman Bhi Dost Ban Sakte Hain "Farid", 
Humko Shaq Nahin yaqin hai is baat par 

SABKO CHODKAR JANA HAI AIK DIN ZARUR, 
YAHI SUCH HAI DUNIYAN MAIN ZINDGI KE BAAD...

‎"Farid" Khilana Hota To Sukhta Hi Kyun, 
Ab Bhi Ilzaam Se Usko Bachaye Hue Hain ...


Be-shak Khuda Sab Janta Hai "Farid" , 
Shajar Ke Sukhne Ki Wajah Bhi Use Maloom Hai ...

Shajar Sukha Hazaron Parindon Ki Duaon Ke Baad Bhi, 
Kitni Be Rukhi Sahi Hai Usne Hazaron Duain Kaam Na Aayen ...

Koee Kyun Chahega Darakht Ko Lagane Ke Baad Badhali Uski, 
Muhabbat Ke Kya Do Chehre Hua Karte Hain "Farid" ...

Hum Woh Parinde Hain Jo Parwaaz To Karte Hain, 
Lekin Kisi Ko Kabhi Nuksaan Nahin Karte ...

Roshni Ka Chirag Se Dard Ka Rishta Hai, 
Aik Ko Mita Do Dusra Khud Mit Jayega ...

Charag Khud Jalte Hain Dusron Ko Raasta Dikhane Ke Liye, 
Khud Manzil Ko Bhool Wahin Ruk Jata Hai "Farid" ...

Agar zindagi k kisi mod par jab tumhe koi 
faisla karna ho to apne DIL ki baat sun lena, 
kyunki DIL bhale hi Left me ho,
woh hamesa Right hota hai...


No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...