Pages

Saturday, 7 April 2012

Humko Nasha Qalam Ka Hai Sharaab Ka Nahin "Farid"


Humko Nasha Qalam Ka Hai Sharaab Ka Nahin "Farid", 
Phir B Shairi Ko Likhna Hamare Baski Baat Nahin Hai... New


Jo Karte Hain Parwaaz Aasmano Main "Farid",
Woh Zameen Par Sambhal Kar Chala Karte Hain... New



Yeh Haath Jo Hath Main Diya Hai "Janam", 
Is Hath Ko Hath Hi Main Rakhna Hardaum... New


Rote Rote Hi Aaye Hain Duniyan Main Sab "Farid", 
Jab Kabhi Rona Aaye To Samajhna Zindgi Nai Mili Hai... New


Ishq Ki Agar Kimat Lagaoge "Farid", 
To Dilse Ise Kabhi Kar Hi Na Paoge... New


Jo Shairi Ki Zuban Na Samajh Sake Usse Hum Kya Kahen ,
"Farid"
Zamana To Zalim Suna Hai Magar Kya Woh Bhi Zalim Hain... New


Woh Rooz Punhti Hai Tere Dil Ka Haal "Farid", 
Tujhko Sitare Dekhne Aate Hain Unki Zuban Nahin ... New


Jhunton Ki Duniyan Ke Rawaj Alag Hain "Farid", 
Khud To Bolte Hi Hain Dusron Ko Bhi Mante Hain... New


Jinke Maa Nahin Hoti Yeh Ahsas Unhi Ko Hota Hai ,
"Farid", 
Warna Maa Ko Samne Dekhkar Dushman Mante Hain Aaj... New 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...