Pages

Friday, 6 April 2012

Jo Karte Hain Parwaaz Aasmano Main "Farid"

Assalamu Aleykum,

Jo Karte Hain Parwaaz Aasmano Main "Farid",
Woh Zameen Par Sambhal Kar Chalte Hain... New

woh karta hai mujhse meri zindgi ka soda "farid", 
usko maloom nahin yeh zindgi usi ke pass hai kab se... new 

meri zindgi mujhse punchti hai "farid",
 is zindgi ki kemat kya hogi ... new 

Aasman Kya Hai Parwaaz Kya Hai Yeh Woh Kya Jane "Farid", 
Jo Zameen Par Chalte To Hain Magar Parwaaz Se Darte Hain... new 

Kalam Ka Jawab Kalam Se Denge Baat Ka Jawab Baat Se Denge "Farid", 
Agar Tum Samjhte Nahin Ho Yeh Zubaan To Sun Lo Jawab Laat Se Denge... new 

Verano Main Jo Zindgi Talash Karte Hain "Farid", 
Woh Zindgi Ko Pakar Bhi Khud Ko Bhool Jate Hain... new 

Matlab Ki Baatain Duniyan Foran Samajh Leti Hai 
"Farid", 
Warna Anjan Zindgi Jete Hain Ghairon Ki Tarhaan ... New 

Yeh Mujhse Na Punch Kar Usse Puncho 
"Farid", 
Jo Zindgi Ko Jite Hain Tang Dili Ke Sath... New 

Jo Ba-Naqaab Hote Hain Woh Ba-Akhlaq Hote Hain,
"Farid" 
Jo Be-Naqaab Hote Hain Woh Be-Lihaz Hote Hain .. New 

Izzat Se Bulaya To Chale Aaye They Hum Bhi "Farid", 
Be-Adbi Ka Aik Bhi Lamha Humko Bardast Nahin Hota ... New 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...