Pages

Tuesday 17 April 2012

Wafa ke naam par hai aur bhi, mit jaane ko tayyar hain


Wafa ke naam par hai aur bhi, mit jaane ko tayyar hain
Usi fehrist mein ya rab, ek hum bhi gunahgaar hain 

Zamaana rondta na humko, na kabhi dar-badar hote

Kisi ki yaad mein ye dil, aur mariz-e-dil bhi beemar hai

Mohabbat ko mitakar tum, na honge kabhi sar-sabz
Chalao laakh khanjar tum, tera har waar bekaar hai

Ab khwahish nahi koi, na hai khud se koi ummeed
Teri ek bass nigahein shauk ka alam talabgaar hai ...

"Bilqees Farid"

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...