Kabhi dil ko kabhi khood ko sataty hai
zindaghi tere faisle bhi hame aazmate hai
hasraton ki aag kafi nahi thi dil main
eak chiraag k chone se jal jaty hai
Raat ki ye udaasi gham ka chiraag dikha ker
subaah teri bebasi k chaire bataty hai
garaz parsat jahan main mohbbat nahi milti
sikashta dil se teri yaadon k naqash mitaty hai
nahi tha meri nami main ye dard phele kabhi
aaj mere aanso sabhi ko rolaty hai
tamanao ki shaakh per thy kanty etne
k phool chone se phele hi zakham ajaaty hai
wo meri ankh ka aanso bhi ab kaheta hai
patharon k aage mujhe log kiu bahaty hai
lab muskorane se phele hi ab darty hai
eak khoshi ko kayi gham jo sataty hai
tera aojood kanwal hai na ab kisi k liye
teri hasrat k saamne sab zid main ajaty hai ...
"Bilqees Farid"
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...