Uski judayi per hum raat bhar rote rahe,
Uski yaad aayi toh har baat per rote rahe,,
Ek lamhe ko mil kar bichad gaya umar bhar ke liye,
Us shaks ko soch kar jaane kab tak rote rahe,,
Chand ro baro bethe the hum jaane kab se,
Kabhi sar jhuka kar Daman mein munh chupa kar rote rahe,,
Aate nahi hain laut kar log jaane waale,
Yeh baat samjhate samjhate dil ko hum rote rahe,,
Us shaks ke chale jaane se kitne mere khwab toote,
Un kirchiyon samette rahe aur yunhi rote rahe,,
Samajh na saka woh mere khuloos ko fiza,
Hum ek isse baat per umar bhar rote rahe...
"Muhid Pathan"
Saath Rooti Thi Mere Saath Hansa Karti Thi,
Wo Larki Jo Mere DiL Mei Basa Karti Thi.
Meri Chahat Ki Talabgar Thi Is Darja Kay,
Wo Musalley Pay Namazon Mei Duaa Karti THi.
Ek Lamhey Ka Bicharna Bhi Giran Tha USko,
Rootey Huwe Mujhko Khud Se Juda Karti Thi.
Mere Dil Mei Raha Karti Thi Dhadkan Ban Kar,
Or Saaye Ki Tarha Saath Raha Karti Thi.
Rog Dil Ko Laga Bethi Anjaney Mei,
Meri Aaghosh Mei Marne Ki Duaa Karti Thi.
Baat Qismat Ki Hai Sirf Juda Ho Gaey Hum,
"Muhid Pathan"
Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras kar tham jaati hai
Main khawab nahi
Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ehsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban kar gardish kare
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na ho ga
Khawab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahi
Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Ko Zawaal Nahi
"Muhid Pathan"
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...