Koi chehrah hua roshan na ujaagar aankhein
Aaeena dekh rahi theen meri patthar aaNkhein
Lay uree waqt ki aandhi jinhein apnay humrah,
Aaj phir dhoond rahi haiN wohi manzar aankhein!!
Phoot nikleeN to ka‘ee sheher-e-tamanna doobay
Ek qatray ko tarasti hui banjar aaNkheiN
Uss ko dekha hai to ab shauq ka woh aalam hai
Apnay halqoN say nikal aa‘ee haiN baher aaNkheiN
Tu nigahoN ki zubaaN khoob samajhta ho ga
Teri jaanib tou utha karti haiN aksar aaNkheiN
Loag martay na dar-o-baam say takra kay kabhi
Dekh letay jo ‘Kamaal‘ uss ki samandar aaNkheiN...
"Bilqees Farid"
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...