Pages

Friday 16 March 2012

Meer Taqi Meer-kya kahun tum se main ke kya


kya kahun tum se main ke kya hai ishq,
jan ka rog hai, bala hai ishq,,
ishq hi ishq hai jahan dekho,

sare aalam mein bhar raha hai ishq,,
ishq mashuq ishq aashiq hai,
yani apna hi mubtala hai ishq,,
ishq hai tarz-o-taur ishq ke tain,
kaheen banda kaheen khuda hai ishq,,
kon maqsad ko ishq bin pahuncha,
aarzoo ishq va mudda hai ishq,,
koyi khvahan nahi mohabbat ka,
tu kahe jins-e-narawa hai ishq,,
meerji zard hote jate hain,
kya kaheen tum ne bhi kiya hai ishq?
Poet Ghazal : Meer Taqi Meer Editing By : S.M.Farid Bharti

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...