Pages

Friday 16 March 2012

pas-e-marg mere mazar par jo....

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya,
use aah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya,,

mujhe dafn karana tu jis ghadi to ye us se kahana ki ae pari,

wo jo tera aashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya,,

dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar,
kaheen jave us ka na dil dahal meri lash par se hata diya,,

meri aankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha ki uth ke chal,
dil-e-beqarar ne o miyan waheen chutaki leke jaga diya,,

zara un ke shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein,
mere piche aaye dabe-dabe mujhe sanp kah ke dara diya,,

main ne dil diya main ne jan di magar aah! tune na qadr ke,
kisi baat ko jo kaha kabhi use chutakiyon mein uda diya ...

Ghazal: Bahadur Shah Zafar 
Editing By : S.M.Farid Bharti 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...