but-shikan khush hai k do hath main but torr diye
but shikan kash samajhta k wo but-saaz bhi hai
ab jo but us ne tarashe hain
wo pathar ke nahi
un main idraak bhi, raftar bhi, awaaz bhi hai
haram e pak main khud chaar shariyat k imam
sadiyon se apne musallon pe datte bethe hain
lakhon laakh un ke muqallid hain jo to'ton ki tarah
unki tasneef ka har lafz rattay bethe hain
naye but khanay main ab quwwat e takhleeq bhi hai
bare but shaan se ab choton ko janam dete hain
sab ka main zikr karunga to tawaalat hogi
ummat e ahmad e mursil ko khajalat hogi
chaman e pak main Allah to kam pujta hai
dhol ki thaap pe pairon ka alam pujta hai
mai e wahdat ki koi boond raseeli na rahi
aazari reh gayi dunya main, khaleeli na rahi
jo guzarni thi wo deen aur dharam par guzri
deen par wo nahi guzri jo haram par guzri
shimr ab bhi hain, yazeed ab bhi hain, khanjar bhi hain
haram e pak main be maqna o chadar ab bhi hai
kabhi parba ho agar maa'rqa e batal o haq
arbo'n insanon main niklain ge bahattar ab bhi
lakhon abu jehel hain dhare huay islam ka roop
pehle tanha tha to tanha hai payambar ab bhi
watan o qoum k but qazb o reya k but hain
nasl aur rang k but hirs o hawas k but hain
firqa warana taa'ssub ki waba k but hain
ay Khuda teri Khudai main bala k but hain
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...