Pages

Friday, 16 March 2012

Na kisi ke aankh ka nur hun na kisi...

Na kisi ke aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun,
jo kisi ke kam na aa sake main wo ek musht-e-gubar hun,,


na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun,
jo bigad gaya wo nasib hun jo ujad gaya wo dayar hun,,

mera rang-rup bigad gaya mera yar mujh se bichad gaya,
jo chaman fizan mein ujad gaya main usi ke fasl-e-bahar hun,,

paye fateha koi aaye q koi char phul chadaye q,
koi aake shamma jalaye q main wo bekasi ka mazar hun,,

main nahi hun nagma-e-janfishan mujhe sun ke koi karega kya,
main bade barog ke hun sada main bade dukh ke pukar hun ...

Ghazal: Bahadur Shah Zafar 
Editing By : S.M.Farid Bharti 

2 comments:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...