Jo Aasani Se Bik Jayen Wo Hum Nahin Hain,
"Farid"
Ko Kharedne Ke Liye Kemat Nahin Kalam Chahiye ...
Pyar Karna Koee Burai Nahin Hai "Farid",
Yeh Zaruri Nahin Jisse Pyar Ho Usko Pa Bhi Lo ...
Hum Bhi Woh Nahin Jisko Zamana Bhula De,
"Farid"
Hum To Kuffar Main Bhi Mashoor Rehte Hain ...
Dilon Par Likhne Wale Qalam Se Nahin Likhte,
"Farid"
Woh To Khoon Bankar Ragon Main Dor Jate Hain ...
Pane Khone Ki Hisab Rakhne Wale Pyar Nahin Wayapaar Karte Hain,
"Farid"
Pyar Karna Aur Khushi Ke Liye Bhool Jana Hi Zinda Dili Hai...
Jo Beh Jaye Woh Khoon Nahin Pani Hai,
"Farid"Jam Jana Hi Khoon Ki Nishani Hai...
"Farid" Ibadat Wahi Jis Main Rona Aajaye,
Hasne Wale Ibadat Nahin Mazaq Kiya Karte Hain ...
Aankhon Ki Barish Ko Hum Door Se Pehchan Lete Hain,
"Farid"
Woh Muhabbat Kar Nahin Sakte Jo Imtehaan Leete Hain ...
Khoon Aur Pani Ki Jab Pehchan Ho Jayegi,
"Farid"
Jab Usko Pyar Ki Zubaan Samajh Aayegi ...
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...