Pages

Thursday, 8 March 2012

Rizwan Awan- Kabhi thak ke so gaye hum kabhi raat bhar na soye


Rizwan Awan
Kabhi thak ke so gaye hum kabhi raat bhar na soye,
Kabhi hans ke moonh chupaya kabhi moonh chupa k roye…!

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere azmany walay mujhy azma ke roye…!

Shab-e-ghum ki ap beeti jo sunaie anjuman main,
Kyie sun ke muskuraye kyie muskura ke roye…!

Main hoon be-watan Musafir mera naam be-kasi hai,
Mera koi bhi nahi hai jo galey laga ke roy…!

Mere pas se guzar kar mera haal tak na poochha,
Main ye kese maan jaon ke wo door ja ke roye …!!.

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...