Gajiyo me boo rahegi jab talak eman ki
Takhte landon tak chalengi teg Hindustan ki
Lagta nahi hai dil mera ujde dayar mai
Kiski bani hai aalme nayaydar mai
Bul bul ko baagban se na sayyar se gila
Kismat mei kaid likhi thi fasle bahar mei
In hasrato se kah do kahie or jaa base
Itni jagah khan hai dile dagdar mai
Ek shakhe gul par baith ke bulbul hai sadma
Kante bicha diye hai dile lalhajar mai
Umre draj mang kar laye the char din
Do arzoo mai kat gai do intzar mai
Din jindgi ke kat gaye sham ho gai
Feila ke panb sonyge kunje majar mai
kitna badnaseeb hai jafar dafan ke liye
do gaj jameen bhi na mili kuay yaar mei
2
Jindagi me har pal jakham bahut hai.
Maar dalti duniya hame kab ki,
Kambakht aapki duwa me hamare liye mohbbat bahut hai.
3
Marhale Shauq Ke Dushwar Hua Kartay Hain
Saaye Bhi Raah Ki Deewar Hua Kartay Hain
Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-Gaar Howa Kartay Hain
Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Padho
Kuch Sawaali Baday Khud-Daar Howa Kartay Hain
Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paday Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-Kaar Howa Kartay Hain
Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain
Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain
Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain ANISH
Dushmani Ke Bhi Kuch Me-Yaar Howa Kartay Hain
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...