Marte Hain Log Kafiron Ki Tarhaan ,
Zindgi To Mout Hi Ka Naam Hai ...
Sahil Kal Pakda Gaya Jaib Katte Hue,
Maine Usko Bachchane Ki Koshish Bahut Ki ...
Muskurana Kaam Hi Muhabbat Ki Nishani Hai,
Woh Khaq Muskurainge Jo Muhabbat Nahin Karte ...
Sath Koee Kisi Ke Nahin Aaya Hai Aur Na Jayega "Farid",
Yeh Duniyan To Kuch Din Ka Mela Hai Choodkar Jana Hai...
Aik Nazar Sahi Se Dekha Hota To Kabhi Na Badalti,
"Farid" Maa Hoti Hi Aisi Hai Jo Khush Rehti Hai ...
Agar Zindgi Ki Khushyan Insan Likha Karta,
To "Farid" Duniyan Main Ibadat Koun Karta ...
Khuddari Bhi Bahut Imtehaan Leti Hai,
Lekin Yeh Bhi Sach Hai Asal Zindgi Deti Hai...
Tamasha Khud Log Apna Banate Hain,
Jab Wo Apne Mazhab Ko Bhool Jate Hain ...
Apni Taleem Ko Jo Insaan Bhool Jate Hain,
Andhere Unke Muqaddar Ban Jate Hain,,
Usko Tumko Badle Main Tarpana Tha,
Aane Ka To Sirf Uska Aik Bahana Tha ...
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...