Pages

Thursday 8 March 2012

Farid Bharti - Silsile Toot Jate Hain Waqt Ki Ronaq Ke Sath


Silsile Toot Jate Hain Waqt Ki Ronaq Ke Sath, 
Aaj Is Duniyan Main Sachchai Khan Hai "Farid"...

Aik Hi "Tamanna" Agar Sabko Mil Jati
"Farid"To Wo Dusri Panchali Ban Jati ...

Hamara Wasta Sabse Padhta hi Rehta Hai "Arshad", 
"Farid" Kis Kis Ko Yaad Rakhe Aur Kisko Bhool Jaye ...

Sab Kasme Wade Kuch Waqt Tak Sath Rehte Hain, 
"Farid" Chalna Padhta Hai Mushkil Safar Main ...

"Farid" Sajde Ke Anson Ko Bataya Nahin Jata, 
Woh To Khud Beh Jate Hain Allah Ki Muhabbat Main ...

Jo Mil Jate Hain Aasani Se Wahi Insan Khass Hote Hain, 
"Farid"Jo Na Mil Sake Dhundne Se Bhi Wo Insaan Nahin ...

Jo Duniyan Se Muhabbat Rakhta Hai 
"Farid", 
Wahi Allah Se Muhabbat Karta Hai ...

Safar Main Jo Sahare Talash Karte Hain, 
Manzil Unko Akar Daga De Jati Hai "Farid"...

Housla Sath Hai To Har Manzil Aasan Hai 
"Farid", 
Bin Paron Ke Aasman Main Nahin Ura Jata ... 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...