Pages

Thursday, 8 March 2012

Nazar Dwivedi- Apke faisle ke intezar me ye ghazal


Nazar Dwivedi
Apke faisle ke intezar me ye ghazal bhi%/%

Mila kya hai unhe khud ko qaramati samajhte hai'n,
ujala paa ke suraj se usse 
zaati samajhte hai'n.


Bado'n ke ru b ru hamko munasib kab khada hona,
ilaahi laaj rakh bachche qarishmati samajhte hai'n. 

Hamari hi badaulat jo chamakte chaand taaro'n se,
hame jugnu samajhte hai'n diya baati samajhte hai'n.

Badan ko kaise dhakte hai'n yahaa'n kagaz ke kapdo'n se,
ki shahro'n kee haqeeqat bhi ye dehaati samajhte hai'n.

NAZAR jab chot lagti hai to aankhen bheeg jaati hai'n,
kaleje ke lahoo ko wo tilismati samajhte hai'n.

Kindly comment.

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...