Pages

Friday 16 March 2012

Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota


Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota,
ya mera taj gadaya na banaya hota,,
khaksari ke liye garache banaya tha mujhe,

kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota,,


nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko,
umr ka tang na paimana banaya hota,,
apna divana banaya mujhe hota tune,
kyon khiradmand banaya na banaya hota,,

shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne,
varana bulbul ko bhi paravana banaya hota,,

roz-e-mamura-e-duniya mein kharabi hai ‘zafar’,
aisi basti se to virana banaya hota ...

Ghazal: Bahadur Shah Zafar 
Editing By : S.M.Farid Bharti 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...