Salmaan Ali
AJNABI PEDO.N KE SAAYE MAIN MOHABBAT HAI BOHOT
GHAR SE NIKLO TO, YE DUNIYA KHOOBSOORAT HAI BOHOT
MUKHTASAR BAATE.N KARO BEJA WAZAHAT MAT KARO
YE NAYI DUNIYA HAI BACHHO.N MAIN ZAHANAT HAI BOHOT
SUCH SIYAASAT SE ADAALAT TAK BOHOT MASROOF HAI
JHOOTH BOLO JHOOTH MAIN AB BHI MOHABBAT HAI BOHOT
SAAT SANDOOQO.N MAIN BHARKAR DAFN KAR DO NAFRATE.N
AAJ INSAA.N KO MOHABBAT KI ZAROORAT HAI BOHOT
KISLIYE HUM DIL JALAYE.N RAAT DIN MEHNAT KARE.N
KYA ZAMANA HAI BUREY LOGO.N KI IZZAT HAI BOHOT
JANAB BASHEER BADAR SAHAB
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...