Tabassum Fatima
Kuchh dinon pahle BAZME IMKAAN me sahir ludhiyanwi ki nazm SHARIF INSAANO
ka kuchh hissa Sonsi Sunil sahab ne post kiya tha, baqi hissa aj azeem shayer ke birthdey k maoqe
par pesh-e khidmat hai
Bartari ke suboot ki khatir
Jang karna hi kya zaroori hai
Ghar ki tareekiyan mitane ko
Ghar jalana hi kya zaroori hai
Jang k aur bhi to maidaan hain
Sirf maidan-e kasht-o khoon hi nahi
Hasil-e zindagi khirad bhi hai
Hasil-e zindagi junoon hi nahi
Aao is tirah bakht duniya me
Fikr ki roshni ko aam karain
Amn ko jis se taqwiyat pahonche
Aisi jangon ka ehtmam karain
Jang wahshat se barbariyat se
Amn tahzeeb-o irteqa k liye
Jang marg aafreen siyasat se
Amn insaan ki baqa k liye
Jang aflaas aur ghulami se
Amn behtar nizaam ki khatir
Jang bhatki huyi qayadat se
Amn bebas awaam ki khatir
Jang sarmaay ke tasallut se
Amn jamhoor ki khushi k liye
Jang jangon ke falsafe k khilaaf
Amn puramn zindagi ke liye
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...