Dil ke meri beqarari mujh se kuch pucho nahi,
shab ke meri aah-o-zari mujh se kuch pucho nahi,,
bar-e-gam se mujh pe roz-e-hijr mein ik ik ghadi,
kya kahun hai kaisi bhari mujh se kuch pucho nahi,,
meri surat hi se bas malum kar lo ham-damo,
tum haqiqat meri sari mujh se kuch pucho nahi,,
sham se ta-subah jo bistar pe tum bin raat ko,
main ne ke akhtar-shumari mujh se kuch pucho nahi,,
ae “zafar” jo hal hai mera karunga gar bayan,
hogi un ke sharm-sari mujh se kuch pucho nahi ...
Ghazal: Bahadur Shah Zafar
Editing By : S.M.Farid Bharti

No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...