Isharon Ki Zubaan Humko Aati Hai "Farid",
Yeh Alag Baat Hai Hum Jawab Nahin Dete...
Koee Rasta Na Tha Muhabbat Main Iske Siwa,
Usko Barbad Karke Khud Bhi Barbaad Ho Gaya...
Kash Mera Bhi Koee Raqeeb Hota,
Mere Bhi Koee Dil Ke Kareeb Hota ...
Bura Mana To Kya Mana Wo Bhi Aaj Ke Din "Farid",
Suna Hai Aaj Ke Din To Dushman Bhi Aazad Hote Hain ...
Mali Se Mili Thin Musibatain Usko Itni "Farid",
Wo Apna Pata Bhool Gaya Chaman Main Rehne Ke Baad...
Apni Jaan Se Pyare Hain Mujhko Sab Dost Ae "Sofiya",
Aik Jaan Aur Itne Chahne Wale Kisko Doon "Farid" ...
Jo Tum Kar Sakte Ho Tum Karo "Bilal",
Jo Hum Kar Sakte Hain Hum Karenge ...
Hifazat Karne Se Agar Hifazat Hoti "Farid",
To Koee Bhi Duniyan Se Rukhsat Na Hota ...
Neend Bhi Aajayagi "Irfan", Pehle Usko Aane Do ...
Jab Rukhsat Hi Hona Hai To Hifazat Kiski Aur Kyun,
"Farid"
Is Duniyan Main Aaye Hain Sab Wapas Jane Ke Liye...
Waqt Ko Kyun Badnam Karte Hain Log "Farid",
Bujdilon Se Bhi Kabhi Mahool Bana Karta Hai ...
Pehla Farz Yaad Nahin Baad Ke Ada Karne Chal Diye,
"Farid" Yeh Duniyan Ke Log Kyun Itne Bhole Hote Hain ...
Usko Haq Hai Apni Hifazat Ka ,
"Farid",
Sawal Aakhir Uski Jaan Ka Hai ...
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...