Pages

Friday 16 March 2012

ja kahiyo un se nasim-e-sahar mera chain...

ja kahiyo un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri neend gai,
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri neend gai,,



na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta,
kahan ja ke dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri neend gai,,


ae badashah-e-khuban-e-jahan teri mohini surat pe qurban,
ke main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri neend gai,,


hui bad-e-bahari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza,
meri shakh-e-ummid na lai sanvar mera chain gaya meri neend gai,,


ae barq-e-tajalli bahar-e-khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa,
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri neend gai,,


kehta hai yahi ro ro ke “zafar” meri aah-e-rasa ka hua na asar,
teri hijr mein maut na aayi abhi mera chain gaya meri neend gai,,


yahi kahana tha shero ke aj “zafar” meri aah-e-rasa mein hua na asar,
tere hijr mein maut na aai magar mera chain gaya meri neend gai ...


Ghazal: Bahadur Shah Zafar 
Editing By : S.M.Farid Bharti 

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...