Bat karani mujhe mushkil kabhi aisi to na thi,
jaisi ab hai teri mahafil kabhi aisi to na thi,,
jaisi ab hai teri mahafil kabhi aisi to na thi,,
le gaya chin ke q aj tera sabr-o-qarar,
beqarari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi,,
chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin,
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi,,
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi,,
un ke aankhon ne khuda jane kiya kya jadu,
ke tabiyat meri mail kabhi aisi to na thi,,
ke tabiyat meri mail kabhi aisi to na thi,,
aks-e-rukh-e-yar ne kis se hai tujhe chamakaya,
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi,,
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi,,
kya sabab tu jo bigadata hai “zafar” se har bar,
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi ...
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi ...
Ghazal: Bahadur Shah Zafar
Editing By : S.M.Farid Bharti
Editing By : S.M.Farid Bharti
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...