Mohammad Ishtiaq
Agar Nahn Zohra Jabeenon
Kay Darmiaan Guzray
Toe Phir Yeh Kaisay Katay
Zindagi, Kahan Guzray ??
Issi Koe Kehtay Hain Janat
Toe Ussi Koe Dozakh Bhi
Woh Zindagi Joe Hasinon
Kay Darmiaan Guzray
Bahot Haseen Sahi Suhbat
Gulon Ki Magar
Woh Zindagi Joe Kaanton
Kay Darmiaan Guzray
Joe Tairay Aariz-o-Gaisu
Kay Darmiaan Guzray
Kabhi Kabhi Toe Woh Lamhay
Balaaey Jaan Guzray
Bahot Haseen Manazir Bhi
Husnain Fitrat Kay
Nahn Jaanain Aaj Tabiat
Peh Keun Garaan Guzray ??
Khat'ta Moaaf Zamanain
Say Bad Gumaan Hoe Kar
Tairi Wafa Peh Bhi Kia
Kia Hamain Gumaan Guzray
Har Ik Muqaam-e-Mohabat
Bahot Hi Dilkash Tha
Magar Ham Ahley Mohabat
Kushan Kushan Guzray
Kahan Ka Husan Keh Khud
Ishq Koe Khabar Nahn Hui
Rahay Talab Mein Khuch
Aisay Bhi Imtihaan Guzray
Khuloos Jis Mein Shaamil Hoe
Woh Ishq-o-Hawas
Nahn Raaigaan Kabhi Guzra
Nahn Raaigaan Guzray
++Jigar Murad Abaadi++
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...