Yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha,
layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha,,
hath kyon bandhe mere challa agar chori hua,
ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha,,
main ne pucha kya hua wo aap ka husn-o-shabab,
hans ke bola wo sanam shan-e-khuda thi main na tha,,
main sisakata reh gaya aur mar gaye farahad-o-qais,
kya unhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha ...
Ghazal: Bahadur Shah Zafar
Editing By : S.M.Farid Bharti

No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...