ham tishna labi apni duniya se chupa lete
saqi teri ruswai kab ham ko ganwara he
dekhli aei samandar hamne teri dariya dili
tishna lab rakha sadaf ko bund paani ke liye
na jaane kya kaha doobne wale ne samandar se
k lehre aaj tak sahil pe sar patakti hein
samajh ke maal e ghaneemat mujhko
teri yaado ne behisab luta mujhe
main sar emaqtal hadees e zindagi padhta raha
ungliya uthti rahi mohsin mere qirdaar par
"Adil Ali"
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...