ab pyaar karna shart banii is zamaaN ki hai
is gharz se talaash haseeN humnawaaN ki hai
har shakhs zakhmi rooh ka
haamil banaa hai ab
har ek du'aa awaam ki farmaarawaaN ki hai
kaese kareN qaed ye betaab panchhi ko
har dam use talaash khule aasmaaN ki hai
phir sabr had se guzarne lagaa bahut
ab kaifiyat raqeeb ki aatishfishaaN ki hai
aarii sukooN se hoke tajassus me rehta hai
har pal use umeed nayi daastaaN ki hai
dekho bhulaye baitha naseehat jo Maa ki hai
ab waaqayii mujhe lagan is jahaaN ki hai
Farhat sitaare ghoom rahe the yahiN kahiN
shaayad talaash unhe bhi ab kahkashaaN ki hai
No comments:
Post a Comment
आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...