Pages

Monday, 5 March 2012

" Anum Muhammad "- Zakhm Muskurate Hen

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per


Shabnami Sitaroon Per Phool
Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per


Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per


Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
ham khushi manate hain ab bhe teri ahat per


Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per


Tere Hijr Me Hum Per I Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per


Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat P





Hum "CHEEN" Lain Gay Tum Sai Yeh "AADA_e_BENIYAZI"....@
Tum "MANGTAY" "PHIRO" Gay Apna "GAROOR" Hum Sai,,,,


Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…




" Anum Muhammad "

Meri Aankh Khul Jati Hai Teri Aahat Par, 
Phir Khamoshi Cha Jati Hai Teri Aahat Par ... 
New at a time "s,m.Farid Bharti"

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...