Pages

Monday, 5 March 2012

"Mishi Chattha"- Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,


Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,
Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota
wohi shakhs hay jisko,
Sajdon me rone ki adat nahin hot...



Fraib-e-Zaat se Niklo, Jahan k sanahaey dekho,
Haqeeqat Munkashif hogi Kabhi to aainey dkeho..!!



Palat Ke Aanay Lagay Shaam K Parinday Bhi
HUMara subah Ka Bhoola, Magar Nahi Aaya.........!!!




Kitne majboor hain taqdeer ke haathon hum..
Na usey paane ka zarf hai,na usey khone ka hauslaa..!!!




wo humsafar tha magar us se hum nawayi na thi
k dhoop chaon ka aalam raha judai na thi

Adawatein thi Taghaful thaRanjishen thiMagar
Bicharne wale main sab kuch tha magar be wafai na thi
Bicharte waqt un aankhon main thi hamari ghazal
Ghazal bhi wo jo kabhi kisi ko sunayi na thi
kisay pukaar raha tha wo doobte huey din
sada to ayi thi lakin koi duhaayi na thi
kabhi ye haal k dono main yak-dili thi Mohsin
kabhi ye marhala jaise k aashnayi na thi...



‎'Chor ye baat, milay zakham kahan se muj ko,,, 
Zindage itna bta kitna safar baqi hai........!@'



Mujhay Mojzon Par Yaqeen Tha,
Tu Bicher Gaya, So Nahi Raha...




Adaa Qaatil, Bayaan Qaatil, Zubaan Qaatil, Nigaah Qaatil,
Tumhara Silsila Shayad Kisi Qaatil Se Milta Hai..




Tarah Tarah Se Bhulaya Mgr Yeh Haal Hua
Her Ek Khayal se Pedda Tera Khayal Hua...




Hum Ko Matloob Hain Kuch Faisly Jaldi Jaldi
Qura e Arz Zara Tez Ghumaya Jaye


Beti bankar aayi hun MAA-BAAP ke jivan me,
Basera hoga kal mera kisi aur ke Aagan me,


Kyon ye Reet KHUDA ne Banayi hogi,
Kehte hai aaj nahi to kal tu Parayi hogi,


De kar Janam Paal-Poskar jisne hame bada kiya,
Aur Waqt aaya to Unhi Haathon ne hame Vida kiya,


Toot ke Bikhar jaati hai hamari Zindagi wahi par,
Phir bhi us Bandhan me Pyaar mile Zaruri to Nahi,


Kyon Rista hamara itna Ajeeb hota hai?
kya bas yahi hum Betiyon ka Naseeb hota hai?


Itna yaqeen ker le bs mere Hum- nasheen,
Bin tere meri zindagi be-naam si hai;-......♥





♥ " Aaj Phir Uski Yaad Ne Cheen Liya Hosh-O-Hawas..
Fanaa HojainGe Hum Agar Ye Silsila Jari Rahaa " ;( ♥




Sukhay patoon ki tarah thehray hain hum to
*Ghalib*
Kisi nay sameta bhi humay toh Jalny k liye..!!


Khud hi hain Baes-E-Takleef Ham Apne Liye,
Na Ham hotay, Na Dil hota, Na Dil-Azaariyan hotin!


Beti bankar aayi hun MAA-BAAP ke jivan me,
Basera hoga kal mera kisi aur ke Aagan me,


Kyon ye Reet KHUDA ne Banayi hogi,
Kehte hai aaj nahi to kal tu Parayi hogi,


De kar Janam Paal-Poskar jisne hame bada kiya,
Aur Waqt aaya to Unhi Haathon ne hame Vida kiya,


Toot ke Bikhar jaati hai hamari Zindagi wahi par,
Phir bhi us Bandhan me Pyaar mile Zaruri to Nahi,


Kyon Rista hamara itna Ajeeb hota hai?
kya bas yahi hum Betiyon ka Naseeb hota hai?

No comments:

Post a Comment

आपका बहुत बहुत शुक्रिया जल्द ही हम आपको इसका जवाब देंगे ...